यह ब्लॉग खोजें

Suvichar All Categories - All Hindi Quotes

Suvichar All Categories

Read more quotes:

Osho ke anmol Vachan:

1. Koyee prabudhd kaise ban sakata hai? Ban sakata hai, Kyonki wo prabudhd hota hai. Use bnas is tathy ko pahachanana hota hai. (ओशो -Osho)
2. Yadi aap ek darpan ban sakate hain to aap ek dhyani ban sakate hai, Dhyan darpan dekhane ki kala hai aur ab aapke andar koyee vichar nahi chalata isliye koyee vyakulta nahi hoti. (ओशो -Osho)
3. Jis din aap ne soch liye ki apne gyan pa liya hai, Apki mritu ho jati hai, Kyonki ab n koyee ashchary hoga na koi aananad aur na koye acharaj, Ab aap ek mrit jiwan jiyenge. (ओशो -Osho)
4. Aatm gyan ek samjh hai ki yahi sabkuchh hai, Yahi bilkul sahi hai, Bas yahi hai aatmgyan koyee uplabdhi nahi, Yah ye janan hai ki na kuchh pana hai aur na kahi jana hai. (ओशो -Osho)

Anna Hazare ke Anmol Vachan:

1. Swantantrata ke liye lakhon logon ne apna jiwan balidan kar diya likin kuchh swarthi logon ke karan hamen sahi swatantra nahi mili. -(अन्ना हजारे)
2. Mai is desh ke yuvaon se kahana chahata hoon ki yah ladayee lokpal ke sath khatm nahi honi chahiye. Hamen maujuda chunavi sudharon men maujood khamiyon ko door karane ke liye ladana hai. Kyonki chunav pranali men dosh ke karan 150 aparadhi sansad tak pahuch chuke hai. -(अन्ना हजारे)
3. Kal mera rakt chap kam tha, Lekin aaj yah phir se niyantran men hai kyonki desh ki takat mere pichhe hai. -(अन्ना हजारे)
4. Is sarakar men ek prabhavi lokpal lane ki ichchha nahi hai. -(अन्ना हजारे)

Anna Hazare ke suvichar:

1. Lokpal ke baad hamen kisano ke adhikar ke liye ladana hoga, Ek aisa kanoon lana hoga jo sunishchit kare ki bhoomi adhigrahan se pahale gram sabhaon ki anumati lena anivary hoga. -(अन्ना हजारे)
2. Wahi loot, Wahi bhrastachar, Wahi updravata abhi bhi maujood hai. -(अन्ना हजारे)
3. Mai is desh ke logon se anurodh karata hoon ki is kranti ko jari rakhen men na hoon to bhi logon ko sangharsh jari rakhana chahiye. -(अन्ना हजारे)
4. Mera vajan sade paanch kilo kam hua hai, Kuchh jyada nahi, Mai thik hoon. -(अन्ना हजारे)
5. Mai chintit hoon ki kuchh asanvedanshil logo dwara shashit is desh ka kya hoga, Lekin ham unhe janshakti dwara badal sakate hain. -(अन्ना हजारे)


George Vashington ke Suvichar:

1. Sabhi ke sath vinarm rahe, Par kuchh hi ke sath antarang ho aur in kuchh ko apna vishwas dene se pahael achchhi tarah parakh len. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
2. Banduke mahatv men sirph savidhan se kam hoti hai, We logon ki swatantrata ka dant hoti hai. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
3. Bina prabhu aur baibil ke desh par sahi dang se shasan karana asambhav hai. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
4. Yadi bolane ki swatantrata chhin li jaye to shayad gunge aur maun ham usi tarah sanchalit honge jaise bhed ko bali ke liye le jaya ja raha ho. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
5. Meri maa sabse khubsoorat aurat thi jise maine kabhi dekha,  Main jo bhi hoon apni maa ki wajah se hoon, Main apne jiwan men mili sabhi saphalata ka shrey unse mili naitik baudhdik aur sharirik shiksha ko deta hoon–( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)


George Vashington ke Anmol Vachan:

1. Sarakar tarkprun nahi hai. Wah suvakta nahi hai, Wah takat hai, Aaga ki tarah, Wah ek khataranak naukar hai aur ek bhayanak maalik. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
2. Prasannata aur naitik kartavy ek doosare se puri tarah se jude huye hai. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
3. Yadi aap apni pratishtha ka sammana karate hain to achchhe gudon se sampann logon ke saath gudiyen kyonki buri sangat men rahane se achchha akele rahana hain. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
4. Wahi samay bahut najadik hai jo tay karega ki amerika swatantr honge ya gulam. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
5. Dikhawati desh bhakti ke pakhand se bachiye. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
6. Yadi ham apmaan se bachana chaahate hain to hame use jhatakana aana chahiye, Yadi ham shaanti baayen rakhana chahate hain jo ki hamari badati samridi ka ek behad mahattwaproon upkaran hai to ye jaroor pata hona chahiye ki ham har samay yudhd ke liye taiyar hai. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)

George Vashington ke mahan Suvichar:

1. Sachchi dosti dhimi gati se ugane wala paudha hai aur koyee is padawi ka hadar bane usse pahale use vipatti ke jhatako se gujarana aur unhe sahana hoga. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
2. Anubhav hame sikhata hai ki kabja jamaane ke baad dushman ko hatane ki tulana men use kabja karane se rokana kahi aasaan hai. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
3. Buri sangat men rahane se achchha akele rahana hai. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
4. Chaliye ek aisa maanak banaye jis par budhdhiman aur emandar chal sake ki baki bhagawan ke haath men hai. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
5. Apne hridy men us divy chingari, jise antaratma kahate hain ko jinda rakhane ke liye mehanat karon. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
6. Sabhi deshon ke prati achchhi bhavana aur nayaay rakhe, Sabhi ke saath shanti aur sadbhav sthapit karen. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)

George Vashington ke Saty vachan Suvichar:

1. Jahan saty ujaagar karane ke liye kasht uthaya jata hai waha aantat saty ki jit hoti hai. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
2. Maanvajati agar pane aap par chhod di jaye to khud par bhi shasan karane ke liye ayogy  hain. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
3. Jab hamane sainikon ki kalpna ki to hamane naagariko ko ek taraph nahi rakh diya. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
4. Chinta un logon dwara bhugataan kiya byaaj hai jo udhaar men busibat lete hain. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
5. Swantantrata jab apni jad jamane lagati hain to ek teji se badane wale paudhe ke saamaan ho jati hai. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
6. Bekaar ka bahana banane se achchha hai koyee bahahan na banana. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
7. Kaam ke aadami ke sath aapki baat sankshipt aur vyapak honi chahiye. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)

George Vashington ke Anmol Suvichar:

1. Kisi bhi tarah ki sarakar ke anagrat jaroor se badi sena swantantrata ke liye ashubh hai aur khas taur se gantantravaadi  santantrata ke liye shatrutaproon maani jani chahiye. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
2. Yudhd ke liye taiyar rahana shanti banaye rakhane ke sabse prabhavi saadano men se ek hain. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
3. Apne hridy ko har kisi ki vedana aur sankaton ko sankaton ko mahsoos karane dijiye aur apne haatho ko apne batuye ke hisab se dene dijiye. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
4. Kosana aur kasam khana itana tuchchh aur gir hua kaam hai ki koyee bhi samajhadar aur charitrwan vyakti isase ghrinna karata hai. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)
5. Hamari raajnitik vyvyastha ka aadhar logo ko apni sarakar ke savidhan ko badalene ka adhikar hai. –( George Washington-जार्ज  वाशिंगटन)

Jack welch ke anmol vichar apke liye:

1. Kisi sangathan ki sikhane aur us sikh ko teji se kriyanvit karane ki kshamata hi use kaampatitiv advantage deti hai. -(Jack Welch-जैक वेल्च)
2. Sabhi ke saath spasht rahiye. -(Jack Welch-जैक वेल्च)
3. Isase pahale ki badalna pade badl jaiye. -(Jack Welch-जैक वेल्च)
4. Apna bhagy swayam niyantrit kariye nahi to koyee aur karane lagega. -(Jack Welch-जैक वेल्च)
5. Prabandhan mat kijiye badalav ka netratav kijiye isase pahale ki apko karana pade. -(Jack Welch-जैक वेल्च)
6. Sachchayee ka saamana aise kijiye jaise ki wo hai na ki jaisi thi ya aap use jaise hona chahte. -(Jack Welch-जैक वेल्च)

Jack welch ke Suvichar:

1. Mujhe ek atyadhik saphal udyog bataiye janha union chalati ho. -(Jack Welch-जैक वेल्च)
2. Logon ko aatmwashwas dena hi aab tak ka sabase jaroori kaam hai jo main kar sakata hoon, Kyonki tab wo kaam karenge. -(Jack Welch-जैक वेल्च)
3. Vaisvikaran ne hamen ek aisi company men badal diya hai jo duniya khojati hai, Na sirf bechane ya kharidane ke liye balki baudhdik punji talashane ke liye bhi duniya ki sabse behetarin pratibhayen aur mahantam vichar. -(Jack Welch-जैक वेल्च)
4. Achchhe business leader vision banate hai vision batate hai, Vision ko utsah ke saath apnate hain aur satat use prun katate hai. -(Jack Welch-जैक वेल्च)

Jack welch ke anmol vichar:

1. Main internet se darata tha knynki mai type nahi kar pata tha. -(Jack Welch-जैक वेल्च)
2. Maine sikha hai ki galtiyan aksar utani hi achchhi shikshak ho sakati hai jitani saphalata. -(Jack Welch-जैक वेल्च)
3. Agar G. E ki chin men nivesh karane ki ranniti galat hai to ek billion dollars,  ya shayad do billion dollars ka nuksaan ho sakat hai par agar wo sahi hai to agali sadi ke liye yahi company ka bhavishy hai. -(Jack Welch-जैक वेल्च)
4. Mera mukhy kaam pratibhavo ka vikash karana tha main ek maali tha jo shirsh ke 750 logo ko paani aur any poshan deta tha beshak mujhe kuchh kaante bhi nikalane pade. -(Jack Welch-जैक वेल्च)

कोई टिप्पणी नहीं: