महान व्यक्तियों के अनमोल वचन
आचार्य रामचंद्र शुक्ल के अनमोल वचन
Aacharya Raamchandra Shukl1. Bair Krodh Ka Aachaar Ya Murabba Hai.- Aacharya Raamchandra Shukl
2. Chtavan Se Jo Rookhayee Prakat Ki Jaati Hai, Wah Bhi Krodh Se Bhare Hue Katu Vachano Se Kam Nahi Hoti. - Aacharya Raamchandra Shukl
3. Doosron Par Kiye Gaye Vyang Par Ham Has Ante Hain Par Apne Upar Kiye Gaye Vyangy Par Rona Tak Bhool Jate Hain. - Aacharya Raamchandra Shukl
बाल गंगाधर तिलक के विचार
Baal Gangadhar Tilak ke Vichar1. Kasht aur vipatti manushy ko shiksha dene wale shreshth gun hain. Jo saahas ke saath unka samana karte hain, we vijayee hote hai. – Lokmany Tilak
2. Sharir Ko Rogi Aur Nirbal Rakhane Ke Saaman Doosra Koi Paap Nahi Hai. – Lokmany Tilak
3. Swantrata Hamara Janm Sidhd Adhikar Hai. – Lokmany Tilak
4. Avyaay Aur Atyachar Karne Wala, Utna Doshi Nahi Mana Ja Sakta, Jitna Ki Use Sahan Katne Wala. – Lokmany Tilak
महर्षि वाल्मीकि (रामायण) के सुविचार
Maharshi Valmiki (Ramayan) Ke Suvichar1. Pita Ki Seva Karna Jis Prakar Kalyankari Mana Gaya Hai Waisa Prabal Saadhan Na Saty Hai, Na Daan Hai Aur Na Yag Hain. – Maharishi Vaalmiki
2. Jaise Pake Hue Phalon Ko Girne Ke Siva Koi Bhay Nahi Waise Hi Paida Hue Manushy Ko Mritu Ke Siva Koi Bhay Nahi. – Maharishi Vaalmiki
3. Hatash Na Hona Saphalta Ka Mool Hai Aur Yahi Param Sukh Hai. Utsah Manushy Ko Karmo Men Prerit Karta Hai Aur Utsah Hi Karm Ko Saphal Banata Hai. – Maharishi Vaalmiki
4. Tap Hi Param Kalian Ka Sadhan Hai. Doosare Sare Sukh To Agyan Matra Hai. – Maharishi Vaalmiki
5. Janani Janmbhoomishch Svaradapi Gariyasi. Janani Aur Janmbhoomi Swarg Se Bhi Adhik Shreshth Hai. – Maharishi Vaalmiki
सरदार पटेल के अनमोल वचन
Sardar Patel Ke Anmol Vachan1. Satyagrah Ki Ladayee Hamesha Do Prakar Ki Hoti Hai. Ek julmon ke khilaph aur doosari sway ki durbalata ke viroodh. – Sardar Patel
2. Loha Garam Bhale Hi Ho Jaye Par Hathauda To Thanda Ra Kar Hi Kam Kar Sakta Hai. – Sardar Patel
3. Jab Tak Ham Sway Nirparadh Na Ho Tab Tak Doosron Par Koi Aakshep Saphalatapooravak Nahi Kar Sakte. – Sardar Patel
4. Yah Sach Hai Ki Paani Men Tairnewale Hi Doobte Hain, Kinare Par Khade Rahanewale Nahi, Magar Kinare Par Khade Rahane Wale Kabhi Tairna Bhi Nahi Sikh Pate. – Sardar Patel
5. Shatru Ka Loha Bhale Hi Garm Ho Jaye, Par Hathauda To Thanda Rahakar Hi Kaam, De Sakta Hai. – Sardar Patel
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें