Hindi Suvichar
1. Ye Soch Kar Kabhi kisi ka sath mat chhodana ki uske pas apko dene ke liye kuchh nahi hai. Ye soch kar uska sath nibhana ki apke siwaye uske pas khone ke liye kuchh bhi nahi hai.
2. Bujurg Parivar men namak ki tarah hote hain. Jaise namak se bhojan ka swad badata hai, Waise hi bujurgo se pariwar ke sansakar badate hain. Ghar men bujurgo ka hona awashyak hai.
3. Saphalata ke marg men padane wali sabse badi badha hamara
bhay hi hai, Wahi hamara dushman hai Atah Hamen bhaybhit nahi hona chahiye.
Isko dur karane ke liye Sarvotam upay
yah hai ki ham jis vastu, admi ya
paristhiti se bhaybhit hote hai, Usi ka budhdimani Prun Sahas Se samana Karen.
4. Pati ke liye patni kary men mantra ke saaman salah dene
wali, Sewa men dasi ke samaan kaam karane wali, Mata ke saman swadist bhojan
banana wali, Shayan ke samay rambha ke saman such dene wali, Dharm ke anukool
aur kshmadi gun dharan karane men prithwi ke saman sthir rahane wali hoti hai.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें