Tulsidas Poems, Dohe, Chaupai and Rachnaye in hindi
Tulsi daas kahate hai ki is sansar men sabhi se milkar rahana chahiye kynki ho sakata hai ki bhagwan kiske roop men mil jaye, hame ye yaad rakhana chahiye ki iswar hamari pariksha lene kisi bhi roop men aa sakate hai.
Tulsi daas ji kahate hai ki bhagwan raam ki dil se bhajan hamesha karte rahana chahiye kynki unse bada is sansar men koyee nahi hai.
Tulsi ji ko apne ram bhakti sabse jyada pyari hai aur we iske liye sabhi dukho ko bhi bhool jate hai. Hame bhagwan raam ki tarah aardash kary karana chahiye aur kabhi bhi jhoot ka sahara nahi lena chahiye.
Tulsi hari apman te hoee akaj samaj, Raaj karat Raj mili gaye sakal sakul kururaaj.
Raam duri maaya badati, Ghatati jaani man maah, Bhuri hoti rabi doori lakhi sir par pagatar chhah.
Raam raaj rajat sakal dharam nirat nar nari, Raag na rosh na dosh dukh sulabh padarath chari.
Mahan Vyaktiyon ke gun:
Hame bhagwan raam ki tarah hi adarsh banane ka gun apnana chahiye aur yadi kisi bhi prakar ka atyachar kisi par ho raha hai to use us atyachar se mukti dilani hai aur uski madad karani chahiye. Tabhi ham ek achchhe insan ban sakate hai.
Hame kisi bhi prakar ka jhoot nahi bolana chahiye aur hame wahi baat bolanhi chahi jisase kisi ka bhala ho.
Awat hi harse nahi nainan nahi saneh tulsi tah na jaiye kanchan barse meh.
Tulsi daas raam ji ke ek darshan matr se hi khusi ki aansu aankho men jhalakane lagata hai.
Tulsi mithe bachante sukh upajat chahu or, Basikaran ek matr hai pariharoo bachan kathor.
Bina tej ke purush awashi awaga hoye, Agi bujhe jyo rakh ki aap chhhuwe sab koye.
Tulsi daas ji raam ji ke bahut bade bhakt the unhone raam ji ke bare men bahut adhik gungan kiya hai aur bahut sare dohe hi Ram ji ke bare men likhe hai, Inhone raam ji ke bare men dohe likhne ke liye awadhi bhashha ka istemal kiya hai kyonki unki bhasa awadhi thi.
Tulsi sathi vipatti ke vidha, vinay, vivek. Sahas sukriti susaty vrat raam bharose ek.
Tulsi daas ke kahane ka matalab yah hai ki jab koi raam ji ke bharose rahata hai aur unki aradhana karana chahiye isase vipti ka saman nahi karana padata hai.
Kaam krodh mad lobh ki jo lau man mai khaan, Tau lau pandit murkho tulsi ek saman. Tulsi daas ji kahate hai ki jo vyakti kaam krodh aur lobh ko man men than leta hai wo pandito men murkho ke saman hai.
Raam naam mani dip dharu jih dehari dwar, Tulsi bhitar baharon jau chahsi ujiyaar.
Tulsi daas ji kahate hai ki raam na ek dip ke saman hai jo isko apna leta hai uska sahas tej ho jata hai.
Naam raam ko ank hai, Sab saadhan hai soon, Ank gaye kachhu haath nahi, Ank rahe das goon.
Tulsi daas ji kahate hai ki raam naam ek ank ke samna hi Jo isko apnata hai uske sare sadhan ek saman ho jate hai, Saadhan ke ank to chhoot bhi sakate hai lekin isse prat gunn kam nahi hota hai.
Prabhu taru par, Kapi daar par te, Aapu saman, Tulsi kahun n Raam se, Sahib sil naidan.
Prabhu ki kripa se kisi bhi prakar ka dar khatm ho jata hai aur sabhi dukho ka nidan ho jata hai.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें