डां बी. आर. अम्बेडकर के सुविचार
1. Kanoon Aur Vyvastha Rajnitik Sharer Ki Dawa Hain Aur Jab Rajnitik Sharer Bimar Pade To Dava Di Jani Chahiye.
2. Jiwan Lamba Hone Ki Bajaye Mahan Hona Chahiye.
3. Manushy Nashvar Hain, Usi Tarah Vichar Bhi Nashvar Hain, Ek Vichar Ko Prachar Prasar Ki Jaroorat Hoti Hai, Jaise Ki Ek Paudhe Ko Pani Ki Nahi To Dono Murjha Kar Mar Jale Hain.
4. Rajnitik Atyachar Samajik Atyachar Ki Tulana Men Kuchh Bhi Nahi Hain Aur Ek Sudharak Jo Samaj Ko Kharij Kar Deta Hain Wo Sarkar Ko Kharij Kar Dene Wale Rajnitigy Se Kahi Adhik Sahasi Hain.
5. Jab Tak Aap Samajik Swatantrata Nahi Hasil Kar Lete, Kanoon Apko Job Hi Swatntrata Deta Hain Wo Apke Kisi Kaam Ki Nahi Hain.
6. Pati Patani Ke Bich Ka Sambandh Ghanisht Mitron Ke Sambhandh Ke Saman Hona Chahiye.
7. Yadi Ham Ek Sanyukt Ekikrit Aadhunik Bharat Chahate Hain To Sabhi Dharmon Ke Shashtron Ki Sanprabhuta Ka Ant Hona Chahiye.
8. Sagar Men Milkar Apni Pahachan Kho Dene Wali Pani Ki Ek Boondo Ke Viparit, Insaan Jis Samaj Men Rahata Hain . Waha Apni Pahachan Nahi Khota. Insaan Ka Jiwan Swantr Hain, Wo Sirph Samaj Ke Vikas Ke Liye Nahi Paida Hua Hai, Balki Sway Ke Vikas Ke Liye Paida Hua Hai.
9. Ham Bharitiya Hain, Pahale Aur Ant Men.
10. Hamare Paas Yah Swatantrata Kis Liye Hain? Hamare Paas Ye Swatantrata Isliye Hain Taaki Ham Apne Samajik Vyavastha , Jo Asamanta, Bhed Bhav Aur Any Chijo Se Bhari Hai, Jo Hamare Maulik Adhikaron Se Takarav Men Hain Ko Sudhar Saken.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें