यह ब्लॉग खोजें

Maa ke liye Anmol vachan part-1

मां के लिए अनमोल वचन


Jara Si Baat Hai Lekin Hawa Ko Kaun Samjhaye,
Diye Se Meri Maa Mere Liye Kajal Banati Hai.

  Jara Si Baat Hai Lekin Hawa Ko Kaun Samjhaye

Hansate Huye Maa Baap Ki Gali Nahi Khate,
Bachche Hain To Kyon Shauk Se Mitti Nahi Khate.

  Hansate Huye Maa Baap Ki Gali Nahi Khate

Hava Dukhon Ki Jab Aai Kabhi Khija Ki Tarah,
Mujhe Chhupa Liya Mitti Ne Meri Maa Ki Tarah

  Hava Dukhon Ki Jab Aai Kabhi Khija Ki Tarah

Sar Phire Log Hamen Dushman E Jaa Kahate Hain,
Ham Jo Is Mulk Ki Mitti Ko Bhi Maa Kahate Hain. 

Sar Phire Log Hamen Dushman E Jaa Kahate Hain

Labon pe uske kabhi baduaa nahi hoti,
Bas ek maa hai jo mujhe khapha nahi hoti.

  Labon pe uske kabhi baduaa nahi hoti,

Kisi Ko Ghar Mila Hisse Men Ya Koi Dukha Aai,
Main Ghar Men Sabse Chhota Tha Mere Hisse Men Maa Aai.


Kisi Ko Ghar Mila Hisse Men Ya Koi Dukha Aai

E Aandhere Dekh Le Munh Tera Kala Ho Gaya,
Maa Ne Aankhe Khol Di Ghar Men Ujala Ho Gaya.


E Aandhere Dekh Le Munh Tera Kala Ho Gaya

Is Tarah Mere Gunahon Ko Wo Dho Deti Hai,
Maa Bahut Gusse Men Hoti Hai To Ro Deti Hai. 
 

Maa Bahut Gusse Men Hoti Hai To Ro Deti Hai.

Meri Khwahish Hai Ki Main Phir Se Pharishta Hoo Jaoon,
Maa Se Is Tarah Lipat Jaaoon Ki Bachcha Ho Jaoon.

Meri Khwahish Hai Ki Main Phir Se Pharishta Hoo Jaoon

कोई टिप्पणी नहीं: