जयशंकर प्रसाद के अनमोल वचन
1. Pashan Ke Bhitar Bhi Madhur Strot Hote Hain, Usmen Madira Nahi Shital Jal Ki Dhara Bahati Hai.
2. Purush Hai Kutoohal Va Prashan Aur Stri Hai Vishleshan, Uttar Aur Sab Baton Ka Samadhan.
3. Nari Ki Karoona Antarjagat Ka Uchchatam Vikas Hai, Jiske Bal Par Samast Sadachar Thahare Huye Hai.
4. Sansar bhar ke updravon ka mool vyangy hai. Hriday men jitana yah ghusta hai utani katar nahi.
5. Adhik Harsh Aur Adhik Unnati Ke Baad Hi Adhik Dukh Aur Patan Ki Bari Aati Hai.
6. Manushy Apni Durbalata Se Bhali Bhanti Parichit Rahata Hai, Par Use Apne Bal Se Bhi Avagat Hona Chahiye.
7. Daridrata Sab Paapon Ki Janani Hai, Tatha Lobh Uski Sabse Badi Santaan Hai.
8. Manushyata Eke K Paksh Wah Bhi Hai, Janha Varn, Dharm Aur Desh Ko Bhoolkar Manushy, Manushy Ke Liye Pyar Karta Hai.
Shop Online : Bed linen | Bed Sheets | Bath Towels
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें