मुंशी प्रेमचंद के अनमोल वचन (सुविचार)
1. Kul Ki
Pratishtha Bhi Vinmrata Aur Sadavyavahar Se Hoti Hai, Haikadi Aur Rooaab
Dikhane Se Nahi. -
2. Man Ek Bhiroo
Shatru Hai Jo Sadaiv Pith Ke Pichhe Se Vaar Karta Hai.
3. Chaaploosi Ka
Jaharila Pyala Aapko Tab Tak Nuksaan Nahi Pahucha Sakta Jab Tak Ki Aapke Kaan
Use Amrit Samjh Kar Pi Na Jayen.
4. Mahan Vyakti
Mahatvakanksha Ke Prem Se Bahut Adhik Aakarshit Hote Hain.
5. Jis Saahity Se Hamari Suruchi Na Jage, Aadhyatmik Aur
Maansik Tripti Na Mile, Hamme Gati Aur Shakti Na Paida Ho, Hamara Saundrya Prem
N Jagrit Ho, Jo Hammen Sankalp Aur Kathinaiyon Par Vijay Prapt Karne Ki.
6. Sachch Dreedhta
Na Utapann Kare, Wah Hamare Liye Bekar Hai, Wah Saahity Kahalane Ka Adhikari
Nahi Hai.
7. Aakash Men
Udane Wale Panchhi Ko Bhi Apne Ghar Ki Yaad Aati Hai.
8. Jis Prakar
Netrahin Ke Liye Darpan Bekar Hai Usi Prakar Budhdhihin Ke Liye Vidya Bekar Hai.
9. Nayay Aur Niti
Lakshmi Ke Kilhaune Hain, Wah Jaise Chahati Hai Nachati Hai.
10. Yuvavastha
Aaveshmay Hoti Hai, Wah Krodh Se Aag Ho Jaati Hai To Karoona Se Paani Bhi.
11. Apani Bhool
Apne Hi Haathon Se Sudhar Jaye To Ya Usase Kahi Achchha Hai Ki Koee Doosara Use
Sudhare.
12. Desh Ka Udhdar
Vilasiyon Dwara Nahi Ho Sakta. Uske Liye Sachcha Tyagi Hona Aavashyak Hai.
13. Masik Vetan
Pooranmasi Ka Chand Hai Jo Ek Din Dikhayee Deta Hai Aur Ghatate Loopt Ho Jata
Hai.
14. Krodh Men
Manushy Apne Man Ki Baat Nahi Kahata, Wah Kewal Doosaron Ka Dil Dukhana Chahata
Hai.
15. Anuraag,
Yauvan, Roop Ya Dhan Se Utpann Nahi Hota. Anuraag, Anuraag Se Utpann Hota Hai.
16. Dukhiyaron Ko
Hamadardi Ke Aansoo Bhi Kam Pyare Nahi Hote.
17. Vijayee Vyakti
Swabhav Se, Bahimurkhi Hota Hai. Prajay Vyakti Ko Antmurkhi Banati Hai.
18. Ateet Chahe
Jaisa Ho, Uski Smritiyan Pray: Sukhad Hoti Hai.
19. Dukhiyaron Ko
Hamardardi Ke Aansoo Bhi Kam Pyare Nahi Hote.
20. Main ek
majdoor hoon. Jis din kuchh likh na loon us din mujhe roti khane ka koi hak
nahi.
21. Nirasha
Sambhav Ko Asambhav Bana Deti Hai.
22. Bal Ki
Shikayate Sab Sunte Hain, Nirbal Ki Phariyaad Koi Nahi Suntan.
23. Daulat Se
Aadami Ko Jo Samman Milta Hai, Wah Uska Nahi, Uski Daulat Ka Samman Hai. -
24. Sansaar Ke
Sare Naate Sneh Ken Ate Hain, Janha Sneh Nahi Waha Kuchh Nahi Hai.
25. Jis Bande Ko
Pet Bhar Roti Nahi Milti, Uske Liye Maryada Aur Ijjat Dhong Hai.
26. Khane Aur Sone
Ka Naam Jiwan Nahi Hai, Jiwan Naam Hai, Aage Badhae Rahane Ki Lagan Ka.
27. Jiwan Ki
Durghatnaon Men Aksar Bade Mahatv Ke Naitik Pahaloo Chhipe Hue Hote Hain.
28. Namaskar
Karane Wala Vyakti Vinmarta Ko Graham Karta Hai Aur Samaj Men Sabhi Ke Prem Ka
Patra Ban Jaata Hai.
29. Achchhe Kaamon
Ki Sidhdhi Men Badi Der Lagati Hai, Par Bure Kaamon Ki Sidhdi Men Yah Baat Nahi.
Shop Online : Bed linen | Bed Sheets | Bath Towels
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें