Main Menu

Munshi Premchand Ke Anmol Vachan

सुविचार : Kul Ki Pratishtha Bhi Vinmrata Aur Sadavyavahar Se Hoti Hai, Haikadi Aur Rooaab Dikhane Se Nahi


मुंशी प्रेमचंद के अनमोल वचन (सुविचार)


1. Kul Ki Pratishtha Bhi Vinmrata Aur Sadavyavahar Se Hoti Hai, Haikadi Aur Rooaab Dikhane Se Nahi. -


2. Man Ek Bhiroo Shatru Hai Jo Sadaiv Pith Ke Pichhe Se Vaar Karta Hai.

3. Chaaploosi Ka Jaharila Pyala Aapko Tab Tak Nuksaan Nahi Pahucha Sakta Jab Tak Ki Aapke Kaan Use Amrit Samjh Kar Pi Na Jayen. 

4. Mahan Vyakti Mahatvakanksha Ke Prem Se Bahut Adhik Aakarshit Hote Hain.

5. Jis Saahity Se Hamari Suruchi Na Jage, Aadhyatmik Aur Maansik Tripti Na Mile, Hamme Gati Aur Shakti Na Paida Ho, Hamara Saundrya Prem N Jagrit Ho, Jo Hammen Sankalp Aur Kathinaiyon Par Vijay Prapt Karne Ki.


6. Sachch Dreedhta Na Utapann Kare, Wah Hamare Liye Bekar Hai, Wah Saahity Kahalane Ka Adhikari Nahi Hai.

7. Aakash Men Udane Wale Panchhi Ko Bhi Apne Ghar Ki Yaad Aati Hai. 

8. Jis Prakar Netrahin Ke Liye Darpan Bekar Hai Usi Prakar Budhdhihin Ke Liye Vidya Bekar Hai. 

9. Nayay Aur Niti Lakshmi Ke Kilhaune Hain, Wah Jaise Chahati Hai Nachati Hai.

10. Yuvavastha Aaveshmay Hoti Hai, Wah Krodh Se Aag Ho Jaati Hai To Karoona Se Paani Bhi.

11. Apani Bhool Apne Hi Haathon Se Sudhar Jaye To Ya Usase Kahi Achchha Hai Ki Koee Doosara Use Sudhare.

12. Desh Ka Udhdar Vilasiyon Dwara Nahi Ho Sakta. Uske Liye Sachcha Tyagi Hona Aavashyak Hai. 

13. Masik Vetan Pooranmasi Ka Chand Hai Jo Ek Din Dikhayee Deta Hai Aur Ghatate Loopt Ho Jata Hai.

14. Krodh Men Manushy Apne Man Ki Baat Nahi Kahata, Wah Kewal Doosaron Ka Dil Dukhana Chahata Hai. 

15. Anuraag, Yauvan, Roop Ya Dhan Se Utpann Nahi Hota. Anuraag, Anuraag Se Utpann Hota Hai. 

16. Dukhiyaron Ko Hamadardi Ke Aansoo Bhi Kam Pyare Nahi Hote.

17. Vijayee Vyakti Swabhav Se, Bahimurkhi Hota Hai. Prajay Vyakti Ko Antmurkhi Banati Hai.

18. Ateet Chahe Jaisa Ho, Uski Smritiyan Pray: Sukhad Hoti Hai.

19. Dukhiyaron Ko Hamardardi Ke Aansoo Bhi Kam Pyare Nahi Hote.

20. Main ek majdoor hoon. Jis din kuchh likh na loon us din mujhe roti khane ka koi hak nahi.

21. Nirasha Sambhav Ko Asambhav Bana Deti Hai.

22. Bal Ki Shikayate Sab Sunte Hain, Nirbal Ki Phariyaad Koi Nahi Suntan.

23. Daulat Se Aadami Ko Jo Samman Milta Hai, Wah Uska Nahi, Uski Daulat Ka Samman Hai. -

24. Sansaar Ke Sare Naate Sneh Ken Ate Hain, Janha Sneh Nahi Waha Kuchh Nahi Hai.

25. Jis Bande Ko Pet Bhar Roti Nahi Milti, Uske Liye Maryada Aur Ijjat Dhong Hai.

26. Khane Aur Sone Ka Naam Jiwan Nahi Hai, Jiwan Naam Hai, Aage Badhae Rahane Ki Lagan Ka.

27. Jiwan Ki Durghatnaon Men Aksar Bade Mahatv Ke Naitik Pahaloo Chhipe Hue Hote Hain.

28. Namaskar Karane Wala Vyakti Vinmarta Ko Graham Karta Hai Aur Samaj Men Sabhi Ke Prem Ka Patra Ban Jaata Hai.

29. Achchhe Kaamon Ki Sidhdhi Men Badi Der Lagati Hai, Par Bure Kaamon Ki Sidhdi Men Yah Baat Nahi.



Shop Online   Bed linen    |    Bed Sheets    |    Bath Towels

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

Your Comments and Feedbacks motivate us and help us to be better!! Feel free to give us your feedbacks!Thank you!