Main Menu

Great Indian Quotes | महान व्यक्तियों के अनमोल वचन

महान व्यक्तियों के अनमोल वचन


आचार्य रामचंद्र शुक्ल के अनमोल वचन

Aacharya Raamchandra Shukl

1. Bair Krodh Ka Aachaar Ya Murabba Hai.- Aacharya Raamchandra Shukl


2. Chtavan Se Jo Rookhayee Prakat Ki Jaati Hai, Wah Bhi Krodh Se Bhare Hue Katu Vachano Se Kam Nahi Hoti. - Aacharya Raamchandra Shukl


3. Doosron Par Kiye Gaye Vyang Par Ham Has Ante Hain Par Apne Upar Kiye Gaye Vyangy Par Rona Tak Bhool Jate Hain. - Aacharya Raamchandra Shukl

बाल गंगाधर तिलक के विचार

Baal Gangadhar Tilak ke Vichar

1. Kasht aur vipatti manushy ko shiksha dene wale shreshth gun hain. Jo saahas ke saath unka samana karte hain, we vijayee hote hai.  – Lokmany Tilak


2. Sharir Ko Rogi Aur Nirbal Rakhane Ke Saaman Doosra Koi Paap Nahi Hai. – Lokmany Tilak


3. Swantrata Hamara Janm Sidhd Adhikar Hai. – Lokmany Tilak


4. Avyaay Aur Atyachar Karne Wala, Utna Doshi Nahi Mana Ja Sakta, Jitna Ki Use Sahan Katne Wala. – Lokmany Tilak

महर्षि वाल्मीकि (रामायण) के सुविचार

Maharshi Valmiki (Ramayan) Ke Suvichar
 
1. Pita Ki Seva Karna Jis Prakar Kalyankari Mana Gaya Hai Waisa Prabal Saadhan Na Saty Hai, Na Daan Hai Aur Na Yag Hain. – Maharishi Vaalmiki


2. Jaise Pake Hue Phalon Ko Girne Ke Siva Koi Bhay Nahi Waise Hi Paida Hue Manushy Ko Mritu Ke Siva Koi Bhay Nahi. – Maharishi Vaalmiki


3. Hatash Na Hona Saphalta Ka Mool Hai Aur Yahi Param Sukh Hai. Utsah Manushy Ko Karmo Men Prerit Karta Hai Aur Utsah Hi Karm Ko Saphal Banata Hai. – Maharishi Vaalmiki


4. Tap Hi Param Kalian Ka Sadhan Hai. Doosare Sare Sukh To Agyan Matra Hai. – Maharishi Vaalmiki


5. Janani Janmbhoomishch Svaradapi Gariyasi. Janani Aur Janmbhoomi Swarg Se Bhi Adhik Shreshth Hai. – Maharishi Vaalmiki

सरदार पटेल के अनमोल वचन

Sardar Patel Ke Anmol Vachan

1. Satyagrah Ki Ladayee Hamesha Do Prakar Ki Hoti Hai. Ek julmon ke khilaph aur doosari sway ki durbalata ke viroodh. – Sardar Patel


2. Loha Garam Bhale Hi Ho Jaye Par Hathauda To Thanda Ra Kar Hi Kam Kar Sakta Hai. – Sardar Patel


3. Jab Tak Ham Sway Nirparadh Na Ho Tab Tak Doosron Par Koi Aakshep Saphalatapooravak Nahi Kar Sakte. – Sardar Patel


4. Yah Sach Hai Ki Paani Men Tairnewale Hi Doobte Hain, Kinare Par Khade Rahanewale Nahi, Magar Kinare Par Khade Rahane Wale Kabhi Tairna Bhi Nahi Sikh Pate. – Sardar Patel


5. Shatru Ka Loha Bhale Hi Garm Ho Jaye, Par Hathauda To Thanda Rahakar Hi Kaam, De Sakta Hai. – Sardar Patel

Kaalidas ke anmol Vachan

कालिदास के कथन (अनमोल वचन)



Prithvi Par Tin Ratn Hain. Jal, Aan Aur Subhashit Lekin Agyani Patthar Ke Tukaden Ko Hi Ratn Kahate Hain.
1. Prithvi Par Tin Ratn Hain. Jal, Aan Aur Subhashit Lekin Agyani Patthar Ke Tukaden Ko Hi Ratn Kahate Hain. 

2. Yashsivayon Ka Kartavy Hai Ki Jo Apne Se Hod Kare Usase Apne Yash Ki Raksha Bhi Karen. 

3. Uday Hote Samay Soorya Laal Hota Hai Aur Ast Hote Samy Bhi. Isi Prakar Sampatti Aur Vipatti Ke Samay Mahan Purushon Men Ekroopta Hoti Hai. 

4. Kaam Ki Samapti Santoshprad Ho To Parishram Ki Thakan Yaad Nahi Rahati. 

5. Sajjan Purush Baadalo Ke Saman Dene Ke Liye Hi Koi Vastu Graham Karte Hai. 

6. Sab prachin achchha aur sab naya bura nahi hota. Budhdiman purush swany pariksha dwara gun-doshon ka vivechan karte hai. 

7. Jinka Chitt Vicar Utpann Karne Wali Paristhitiyon Men Bhi Asthir Nahi Hota We Hi Sachche Dhir Purush Hote Hai. 

8. Sajjan Purush Bina Kahe Hi Doosron Ki Asha Poori Kar Dete Hai Jaise Soorya Sway Hi Ghar Ghar Ja Kar Prakash Phaila Deta Hai. 

9. Daan-Puny Kewal Parlok Men Sukh Deta Hai Par Yogy Santan Seva Dwara Ihlok Aur Tarpan Dwara Parlok Dono Men Sukh Deti Hai. 

10. Avagun Naav Ki Pendi Men Ek Chhed Ke Saman Hai, Jo Chahe Chhota Ho Ya Bada Ek Din Use Duba Dega.

Shop Online   Bed linen    |    Bed Sheets    |    Bath Towels